phuul kā khilnā bahut dushvār hai
mausam-e-gul āj-kal bīmār hai
be-vasīla baat ban saktī nahīñ
mil ga.ī kashtī to dariyā paar hai
āñsuoñ kā aur matlab kuchh nahīñ
muḳhtasar sī sūrat-e-iz.hār hai
dostī kā raaz ifshā kar ga.ī
dushmanī bhī ik baḌā kirdār hai
ham safīne ke liye ik bojh haiñ
ham agar Duube to beḌā paar hai
zindagī kī razm-gāhoñ meñ 'zuhair'
sarfaroshī āḳhirī tyauhār hai