jiine kī hai umiid na marne kī aas hai
jis shaḳhs ko bhī dekhiye tasvīr-e-yās hai
jab se masarratoñ kī huī justujū mujhe
maiñ bhī udaas huuñ mirā dil bhī udaas hai
lāshoñ kā ek Dher hai ghere hue mujhe
ābād ek shahr mire ās-pās hai
mujh se chhupā sakegī na apne badan kā koḌh
duniyā mirī nigāh meñ yuuñ be-libās hai
yārān-e-mai-kada mirā anjām dekhnā
tanhā huuñ aur sāmne ḳhālī gilās hai
ab tark-e-ārzū ke sivā kyā kareñ 'zuhair'
is dasht-e-ārzū kī fazā kis ko raas hai