Jawwad Sayyed

Dara Dara ke wo mujhko baghi bana raha hai

Jawwad Sayyed

Pune, Maharashtra, India

1997
Darā Darā ke vo mujh ko bāġhī banā rahā hai
hukūmatoñ ke liye tabāhī banā rahā hai
javāñ diloñ par ġhamoñ ke taale lage hue haiñ
aur ik vo būḌhā ḳhushī kī chābī banā rahā hai
sabhī ke hāthoñ meñ phone hai par qalam nahīñ hai
umiid le kar koī siyāhī banā rahā hai
tirī mohabbat se pahle Darpok shahrī thā maiñ
tirā nasha to mujhe sipāhī banā rahā hai
maiñ us kā raajā huuñ bachpane se par us kā abbā
use faqīroñ ke ghar kī raanī banā rahā hai
ḳhabar hai phailī ki tujh ko model hai bhāte tab se
har ek bachcha nagar meñ body banā rahā hai
tū us kī āñkhoñ ko dekh kar hī samajh le 'javvād'
vo sach chhupā kar faqat kahānī banā rahā hai
Top Urdushayar.com