ishq meñ aisī karāmāt kahāñ thī pahle
aap ke husn meñ ye baat kahāñ thī pahle
ab ye sūrat hai ki imkāñ hī nahīñ furqat kā
un se din-rāt mulāqāt kahāñ thī pahle
aks ne dekh liyā husn ko ā.īne meñ
ishq meñ aisī karāmāt kahāñ thī pahle
rañg laayā hai ye us gul kā tasavvur shāyad
varna rañgīnī-e-jazbāt kahāñ thī pahle
aql raas aa na ga.ī ho tire dīvāne ko
fikr-e-nā-sāzī-e-hālāt kahāñ thī pahle
naġhme tere haiñ magar haiñ mire hoñToñ pe ravāñ
merī har baat tirī baat kahāñ thī pahle
Dhal gayā ishq bhī ab husn ke sāñche meñ 'sahāb'
bāzī-e-zīst meñ yuuñ maat kahāñ thī pahle