vo rū-ba-rū hoñ to ye kaif-e-iztirāb na ho
ḳhudā kare nigah-e-shauq kāmyāb na ho
savāl kyā ho ki un kī ḳhamosh nazroñ meñ
na de sake jo vo ab tak vahī javāb na ho
ye kyā gumāñ hai ki vaqt-e-sahar kī bedārī
jo raat biit chukī hai usī kā ḳhvāb na ho
ye inhitāt-e-junūñ ye ḳhirad kī sust-ravī
kahīñ ye ḳhāmushī az-qabl-e-inqalāb na ho
kahīñ junūñ meñ ye merā kamāl-e-hosh-o-ḳhirad
tirī nigāh-e-taġhāful kā pech-o-tāb na ho
junūn-e-ġham hai mirā parda-e-hijāb se duur
ki lā-javāb tirā husn-e-lā-javāb na ho
sunā hai vo ruḳh-e-zebā naqāb meñ hai 'sahāb'
kahīñ ye hasti-e-mauhūm hī naqāb na ho