ġharq-e-ġham huuñ tirī ḳhushī ke liye
yahī sajda hai bandagī ke liye
har kisī ke liye ġham-e-ishrat
ishrat-e-ġham kisī kisī ke liye
naqsh manzil hai zarre zarre meñ
rah-navardān-e-āgahī ke liye
jab se apnā samajh liyā sab ko
mil ga.e kaam zindagī ke liye
ab nigāhoñ meñ vo samā.e haiñ
ab nigāheñ nahīñ kisī ke liye
ye jahāñ ġham-kada sahī lekin
ik tamāshā hai ajnabī ke liye
itnī ḳhizr-āgahī ke ba.ad 'sahāb'
DhūñDiye kis ko gum-rahī ke liye