andoh-e-besh-o-kam na ġham-e-ḳhair-o-shar meñ hai
rāz-e-hayāt vus.at-e-fikr-o-nazar meñ hai
vo masti-e-nazar hai usī dil kī pāsdār
jo dil ba-rū-e-kār gunāh-e-nazar meñ hai
us kā ḳhayāl us kā tasavvur usī kī yaad
koī nahīñ nazar meñ vo jab se nazar meñ hai
kaif āshnā thī ziist kabhī jis kī diid se
vo chashm-e-mast aaj bhī merī nazar meñ hai
kaisā tilism-e-husn hai us jalva-gāh meñ
jalva nazar meñ hai kabhī parda nazar meñ hai
kyā shai atā-e-ġham kī hai kaifiyyat ai 'sahāb'
ḳhalvat harīm-e-dil meñ hai mahfil nazar meñ hai