'mīr' kā soz-e-bayāñ ho to ġhazal hotī hai
'dāġh' kā lutf-e-zabāñ ho to ġhazal hotī hai
dil to ro.e magar āñkhoñ meñ tabassum jhalke
ye agar rañg-e-fuġhāñ ho to ġhazal hotī hai
dost kī yaad meñ jazbāt pe aatā hai nikhār
hijr kī raat javāñ ho to ġhazal hotī hai
yak nafas-soz se mumkin nahīñ takmīl-e-ġhazal
har-nafas sho.ala-ba-jāñ ho to ġhazal hotī hai
haañ uchaTtī sī nazar bhī hai koī chiiz magar
yahī nashtar rag-e-jāñ ho to ġhazal hotī hai
sādiq-ul-ishq hī ye nukta samajhte haiñ 'sahāb'
husn dil kā nigarāñ ho to ġhazal hotī hai