mujh ko kahāñ ye hosh tirī jalva-gāh meñ
jalve meñ hai nigāh ki jalva nigāh meñ
vo kyā nigāh jo na kisī dil meñ ghar kare
vo dil hī kyā na ho jo kisī kī nigāh meñ
mujh ko zamāne-bhar ke ġhamoñ se najāt hai
jab se hai merā dil tire ġham kī panāh meñ
pahle gunāhgār tamāshā huī nigāh
lazzat-sharīk phir huā dil is gunāh meñ
nisbat hī kyā savāb ko mere gunāh se
sau sau savāb haiñ mire ik ik gunāh meñ
tere jamāl-e-nāz kā husn-e-kamāl hai
ḳhud jalva ban gayā huuñ tirī jalva-gāh meñ
ābād hai jahān-e-vafā un kī yaad se
barbād ho ga.e jo mohabbat kī raah meñ
uThtī nahīñ nigāh kisī samt ai 'sahāb'
kis husn-e-be-badal ke haiñ jalve nigāh meñ