taqdīr ke aage kabhī tadbīr kisī kī
chaltī ho to samjhe koī taqsīr kisī kī
ab ek tamannā ho to puurī koī kar de
yuuñ kaun badal saktā hai taqdīr kisī kī
dil meñ utar aa.ī hai nigāhoñ se simaT kar
kis darja hayā-kosh hai tasvīr kisī kī
vo aa.eñ na aa.eñ mujhe niiñd aa nahīñ saktī
suntā hī nahīñ nāla-e-shab-gīr kisī kī
barsāt kā ik ḳhvāb hai mustaqbil-e-tārīk
bikhrī huī sī zulf-e-girah-gīr kisī kī
allāh ye tārīk fazā.eñ ye ghaTā.eñ
ye barq-e-ḳhayālāt meñ tasvīr kisī kī
āñkheñ mirī āñkheñ haiñ zahe joshish-e-girya
dhul dhul ke nikhar aa.ī hai tasvīr kisī kī
'tālib' tire jazbāt kī tashrīh to kar duuñ
Dar hai kabhī ho jaa.e na tash.hīr kisī kī