Talib Baghpati

tajdid-e-ahd kar kisi simin badan ke sath

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
tajdīd-e-ahd kar kisī sīmīñ badan ke saath
ya.anī luTā shabāb sharāb-e-kuhan ke saath
vābasta-e-bahār ho ḳhud misl-e-rañg-o-bū
yuuñ zindagī guzār kisī gul-e-badan ke saath
haañ ai muġhanniya koī maddham sā raag chheḌ
ya.anī milā rabāb dil-e-pur-mehan ke saath
saaqī pilā sharāb zakāt-e-shabāb de
haañ phir koī mazāq dil-e-pur-mehan ke saath
dil chāhtā hai phir koī bahkā huā sā tiir
phir khīñch le kamān usī bāñkpan ke saath
zāhid ye talḳh guftugū ye sun hazār haif
zālim guzār dī kisī shīrīñ-dahan ke saath
turfa sitam haiñ charḳh kī ye āzmā.isheñ
vo bhī sharīk-e-ġham haiñ dil-e-pur-mehan ke saath
mahrūm-e-iltifāt nahīñ chheḌ hai murād
dil ko bhī laag hai nigah-e-pur-fatan ke saath
'tālib' mujhī se pūchhnā 'tālib' tū kaun hai
hañs denā phir kisī kā ajab bhole-pan ke saath
Top Urdushayar.com