mirī taqdīr shikva-sanj daur-e-āsmāñ kyuuñ ho
mile jab dard meñ lazzat talāsh-e-mehrbāñ kyuuñ ho
sharīk-e-lazzat-e-āzād koī ham-zabāñ kyuuñ ho
tumhīñ batlāo ma.anī-ḳhez merī dāstāñ kyuuñ ho
vahī dil hai vahī ḳhvāhish vahī tum ho vahī maiñ huuñ
mirī duniyā meñ āḳhir inqilāb-e-āsmāñ kyuuñ ho
vo mere ba.ad rote haiñ ab un se koī kyā pūchhe
ki pahle kis liye nārāz the ab mehrbāñ kyuuñ ho
bagūloñ meñ uḌe jab ḳhaak mere āshiyāne kī
qafas kī samt hī yārab havā-e-gulsitāñ kyuuñ ho
tumheñ fariyād-ras kahte haiñ maiñ fariyād kartā huuñ
tumheñ āḳhir batāo phir ye koshish rā.egāñ kyuuñ ho
satānā hī agar manzūr hai kah do satāte haiñ
mirī taqdīr ke parde meñ merā imtihāñ kyuuñ ho
hameñ ma.alūm hai 'tālib' haqīqat rāz-e-hastī kī
magar is be-haqīqat kī haqīqat hī ayaañ kyuuñ ho