miT nahīñ saktā qayāmat tak nishān-e-ārzū
husn jism-e-ārzū hai ishq jān-e-ārzū
vo suneñ siine se lag kar dāstān-e-ārzū
dil kī har āvāz hotī hai zabān-e-ārzū
be-ḳhudī kī manziloñ meñ sarf-e-hairat ho gayā
dil ki le de kar bachā thā ik nishān-e-ārzū
be-qarārī be-ḳhudī bechārgī dīvāngī
haiñ ye unvānāt-e-zeb-e-dāstān-e-ārzū
ho chukī roz-e-azal vābastagī-e-huns-o-ishq
ek jān-e-ārzū hai ik jahān-e-ārzū
un kī duzdīda nigāhoñ meñ ye kyā e.ajāz thā
jī uThe ek-bārgī sab kushtagān-e-ārzū
ho chale un ke lab-e-nāzuk tabassum-āshnā
barq se kab tak bachegā āshiyān-e-ārzū
zindagī mere liye 'tālib' sazā-e-ishq hai
merī hastī hai mujassam dāstān-e-ārzū