Talib Baghpati

lafz to milte nahin izhaar-e-mahsusat ko

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
lafz to milte nahīñ iz.hār-e-mahsūsāt ko
ab vo samjheñ yā na samjheñ mere dil kī baat ko
dar-haqīqat tuur par muusā ko sūjhī hī nahīñ
varna āñkheñ jazb kar letīñ tajalliyāt ko
merī aage se haTā lo yā to ye mub.ham kitāb
yā palaTne do mujhe aurāq-e-maujūdāt ko
haa.e mat pūchho marīz-e-ġham kī kaifīyāt-e-karb
niiñd kyā ġhaflat sī ho jaatī hī pichhlī raat ko
merī aahoñ meñ ba-qaul un ke agar tāqat nahīñ
charḳh se phir kyuuñ sitāre TūTte haiñ raat ko
pahle to dil meñ ḳhudā jaane kidhar se aa chhupe
phir sitam ye hai ubhārā mere mahsūsāt ko
tak rahā hai phir koī hasrat se sū-e-asmāñ
phir kahīñ jazba na aa jaa.e tajalliyāt ko
muñh añdhere jab jahāñ sotā hai mad-hoshī kī niiñd
maiñ sunā kartā huuñ sāz-e-rūh ke naġhmāt ko
chāñdnī ho yā añdherī mujh ko 'tālib' vāsta
maiñ to aafat hī samajhtā huuñ hamesha raat ko
Top Urdushayar.com