Talib Baghpati

mohabbat aag ban jati hai sina mein nihan ho kar

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
mohabbat aag ban jaatī hai siina meñ nihāñ ho kar
tamannā.eñ jalā detī haiñ dil chiñgāriyāñ ho kar
idhar bhī tum udhar bhī tum yahāñ bhī tum vahāñ bhī tum
ye tum ne kyā qayāmat kī nigāhoñ se nihāñ ho kar
samajhte haiñ jise manzil fareb-e-rāh-e-manzil hai
magar chup huuñ ye majbūrī sharīk-e-kārvāñ ho kar
unheñ bhī dāstān-e-hijr chupke se sunā hī dī
sukūn-e-shām-e-ġham ban kar sitāroñ kī zabāñ ho kar
sahar honī se pahle hī gulābī ho ga.e aañsū
shafaq phūlī hamārī dāstān-e-ḳhūñ-chakāñ ho kar
unheñ niiñd aa rahī hai yā mirī taqdīr sotī hai
thapakte haiñ kisī naale shab-e-ġham loriyāñ ho kar
nuqūsh-e-ārzū miT miT ke ubhre ḳhuun hone ko
bisāt-e-kahkashāñ ban kar shafaq kī surḳhiyāñ ho kar
charāġh-e-ārzū yuuñ jhilmilā kar bujh gayā āḳhir
dam-e-āḳhir kisī kī yaad aa.ī hichkiyāñ ho kar
ḳhusūsiyyat kā 'tālib' huuñ adāvat ho mohabbat ho
mujhī ko bas satā.e jā.iye nā-mehrbāñ ho kar
Top Urdushayar.com