apnī qismat kā sitārā sar-e-mizhgāñ dekhā
aaj ham ne asar-e-jazba-e-pinhāñ dekhā
ab kise DhūñD rahī hai nigah-e-nāz batā
hāsil-e-jaur mire zūd-pashemāñ dekhā
jo satātā hai vahī dil meñ jagah paatā hai
ye mohabbat meñ na.ī tarz kā armāñ dekhā
ab ye shikva hai vo pahlī sī ghaTā.eñ hī nahīñ
ham na kahte the na kar zulf-e-pareshāñ dekhā
shikva āsān thā ab us kī pashemānī hai
kin nigāhoñ se tumheñ sar-ba-garebāñ dekhā
apne marne kā nahīñ ġham ye malāl aatā hai
kyuuñ zamāne ne tumheñ bāl-e-pareshāñ dekhā
raat aatī hai to khā kar usī gesū kī qasam
ham ne 'tālib' kā muqaddar shab-e-hijrāñ dekhā