Talib Baghpati

phir baDha josh-e-junun surat-e-sailab mujhe

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
phir baḌhā josh-e-junūñ sūrat-e-sailāb mujhe
phir kahīñ ġharq na kar de koī girdāb mujhe
maiñ vo huuñ aap jo ho apnī tabāhī kā sabab
kar ga.ī kasrat-e-girya mirī ġharqāb mujhe
chashm meñ ashk ḳhalish dil meñ jigar meñ Tīseñ
uf ye kyā chiiz kiyā kartī hai betāb mujhe
merī ummīd meñ hai yaas kī sūrat muzmar
merī hastī hai fanā misl-e-ḳhat-e-āb mujhe
nīchī nazreñ hoñ zabāñ band ho ġhairoñ ko salām
un kī mahfil ke to ā.eñge na ādāb mujhe
soz-e-furqat tapish-e-ġham ke sabab muddat se
ḳhvāb kyā ārzū-e-ḳhvāb huī ḳhvāb mujhe
shūmī-e-baḳht se tañg aa ke jo dariyā meñ girā
mauj ne pheñk diyā lā ke lab-e-āb mujhe
kitnā dil-soz hai 'tālib' tirā afsāna-e-ġham
vo to vo ġhair nazar aate haiñ betāb mujhe
Top Urdushayar.com