Talib Baghpati

bimar-e-gham ka koi mudawa na kijiye

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
bīmār-e-ġham kā koī mudāvā na kījiye
ya.anī sitamgarī bhī gavārā na kījiye
rusvā.ī hai to ye bhī gavārā na kījiye
ya.anī pas-e-ḳhayāl bhī aayā na kījiye
zarf-e-nigāh chāhiye dīdār ke liye
ruḳh ko pas-e-naqāb chhupāyā na kījiye
dil shauq se jalā.iye inkār hai kise
lekin jalā jalā ke bujhāyā na kījiye
parda nigāh kā hai to kaisī ḳhusūsiyat
apnī nigāh-e-nāz se pardā na kījiye
kal ġhair kī galī meñ qayāmat kā zikr thā
sharmā.iye huzūr bahānā na kījiye
bas aap kā sitam hī karam hai mire liye
lillāh ġhair se mujhe pūchhā na kījiye
pābanda-e-vafā hai to phir mudda.ā se kaam
mar jā.iye kisī kī tamannā na kījiye
'tālib' hadīs-e-ishq tavajjoh talab sahī
yuuñ dāstāñ banā ke sunāyā na kījiye
Top Urdushayar.com