yuuñ bhī tirā ehsān hai aane ke liye aa
ai dost kisī roz na jaane ke liye aa
har-chand nahīñ shauq ko yārā-e-tamāshā
ḳhud ko na sahī mujh ko dikhāne ke liye aa
ye umr, ye barsāt, ye bhīgī hui rāteñ
in rātoñ ko afsāna banāne ke liye aa
jaise tujhe aate haiñ na aane ke bahāne
aise hī bahāne se na jaane ke liye aa
maanā ki mohabbat kā chhupānā hai mohabbat
chupke se kisī roz jatāne ke liye aa
taqdīr bhī majbūr hai, tadbīr bhī majbūr
is kohna aqīde ko miTāne ke liye aa
aariz pe shafaq, dāman-e-mizhgāñ meñ sitāre
yuuñ ishq kī tauqīr baḌhāne ke liye aa
'tālib' ko ye kyā ilm, karam hai ki sitam hai
jaane ke liye rūTh, manāne ke liye aa