Talib Baghpati

sawan ki purwai ne kya dukhti choT dikhai hai

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
sāvan kī purvā.ī ne kyā dukhtī choT dikhā.ī hai
kaise aañsū umDe haiñ jab yaad tumhārī aa.ī hai
aañkh se ojhal ho kar dil ko apnī yaad dilā.ī hai
dil hī meñ aa baiThe ho ye aur qayāmat Dhaa.ī hai
aaheñ sard huī jaatī haiñ tum aa.e ho yā sub.h huī
chāñd kī rañgat phīkī hai tāroñ pe udāsī chhā.ī hai
ik sannāTā sā taarī hai chār-pahar ke taḌke se
ḳhair to hai ye aaj marīz-e-hijr ne kyā Thahrā.ī hai
duniyā kā dastūr yahī hai dil yuuñ kab tak ro.egā
in achchhī sūrat vāloñ ne kis se piit nibhā.ī hai
bādal chīḳh uThā hai bijlī TuuT paḌī hai tharrā kar
jab ham ne apnī barsī-barsā.ī aañkh uThā.ī hai
jism ke andar dil kī bechainī se ye ma.alūm huā
is ghar meñ sab chīzeñ apnī haiñ ye chiiz parā.ī hai
ab marnā bhī mushkil hai vo pūchh rahe haiñ bālīñ par
kis ne us ko yaad kiyā hai kaisī hichkī aa.ī hai
tum āḳhir kyuuñ kuḌhte ho 'tālib' ke rone-dhone par
duniyā is par hañstī hai sab kahte haiñ saudā.ī hai
Top Urdushayar.com