lab-e-ḳhamosh mujhe aah aah karne de
gunāh ishq sahī ye gunāh karne de
tū kāmyāb nigāhoñ ko sharmsār na kar
isī tarah sitam-e-be-panāh karne de
abhī se dars-e-haqīqat zarā Thahar vaa.iz
ḳhirad ko aur ḳharāb-e-nigāh karne de
na rāt-din kī ḳhabar hai na āj-kal kā pata
kisī qarār-shikan se nibāh karne de
na.ī kamāñ hai na.ī mashq hai na rok nigāh
harīm-e-dil ko mukammal tabāh karne de
kahāñ tirī shab-e-gesū kahāñ mirī shab-e-hijr
muqābla bhī nasīb-e-siyāh karne de
na riñd huuñ na sharī.at se zid mujhe 'tālib'
koī balā se kare ishtibāh karne de