haath maltā hai pashīmān-e-jafā mere ba.ad
ḳhair yuuñ baḌh ga.ī tauqīr-e-vafā mere ba.ad
ḳhud se mahjūb hai ḳhud un kī hayā mere ba.ad
husn maġhmūm hai ma.azūr-e-adā mere ba.ad
rañg lā.egī mirī āh-e-rasā mere ba.ad
tum mujhe yaad karoge ba-ḳhudā mere ba.ad
ho ga.e zard kaf-e-dast-e-nigārīñ afsos
ḳhair sarsabz to hai naḳhl-e-hinā mere ba.ad
sogvārī meñ hasīnoñ ne baḌhā.e jhūle
kitnī be-kaif hai sāvan kī fazā mere ba.ad
kyuuñ nadāmat se tah-e-ḳhāk gaḌā jaatā huuñ
tum ne kis dil se mujhe yaad kiyā mere ba.ad
ab kahāñ haiñ vo lab-e-bām qamar ke jalve
un kī sūrat ko tarastī hai fazā mere ba.ad
qabr par laa.e chaḌhāne ko mirī ā.īna
yuuñ uThī mayyat-e-andāz-o-adā mere ba.ad
bhuul jaate haiñ vo ab roz lagānā mehñdī
roz pisne ko tarastī hai hinā mere ba.ad
mar ke kyā chain mile ab ye ḳhalish hai 'tālib'
bā-vafā ban ga.e arbab-e-jafā mere ba.ad