Talib Baghpati

jis qadar qalb ki taskin ke saman honge

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
jis qadar qalb kī taskīn ke sāmāñ hoñge
karb afzā-e-sukūn-e-ġham-e-hijrāñ hoñge
arsa-e-hashr meñ jo ishq kā unvāñ hoñge
merī hī ḳhaak ke ajzā-e-pareshāñ hoñge
ashk ma.asūm jo ḳhamyāza-e-isyāñ hoñge
vo bhī munjumla-e-saramāyā-e-īmāñ hoñge
mere armāñ to na minnat-kash-e-jāñ hoñge
dil se nikleñge to vo ġhair ke armāñ hoñge
kahne-sunñe se vo taklīf-e-ayādat na kareñ
īsī-e-vaqt haiñ aa kar bhī pashemāñ hoñge
dil meñ rah rah ke khaTakte jo haiñ kāñToñ kī tarah
ġhāliban aap ke kho.e hue paikāñ hoñge
hāsil-e-ishq-o-mohabbat ġham-e-hijrāñ na sahī
vo kisī shoḳh ke bhūle hue paimāñ hoñge
laakh āzād sahī hazrat-e-'tālib' lekin
aap bhī qā.il-e-majbūrī-e-insāñ hoñge
Top Urdushayar.com