pahle dard-e-dil pe kahte the ki ye kyā ho gayā
ab ye kāvish hai ki kyuuñ bīmār achchhā ho gayā
dil bhī pahlū meñ kabhī ik chiiz thā yādash-ba-ḳhair
ab ḳhudā jaane kahāñ jaatā rahā kyā ho gayā
aa ga.e lo vo ayādat ke liye ḳhud aa ga.e
ho gayā bīmār dard-e-hijr achchhā ho gayā
ek motī sā chamaktā hai sar-e-mizhgān-e-nāz
auj par kyā merī qismat kā sitārā ho gayā
ho gayā sab mere shikvoñ kā javāb-e-lā-javāb
un kā sharmā kar ye kah denā tumheñ kyā ho gayā
kasrtat-e-dīdār se un kī nigāheñ jhuk ga.iiñ
aks mizhgāñ kā naqāb-e-rū-e-zebā ho gayā
sahte sahte jo na sahnā thā use bhī sah liyā
piite piite zer-e-ġham āḳhir gavārā ho gayā
aap hī pahle uThā dī rū-e-raushan se naqāb
aap hī phir pūchhte haiñ chāñd ko kyā ho gayā
raat bhīgī jā rahī hai sard aaheñ ho chalīñ
chhoḌ ye mad-hoshiyāñ 'tālib' saverā ho gayā