Talib Baghpati

ji bhi kuchh aisa jalaya hai ki ji jaanta hai

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
jī bhī kuchh aisā jalāyā hai ki jī jāntā hai
aap ne itnā rulāyā hai ki jī jāntā hai
yaad ban kar tirī ma.asūm vafā ne zālim
dil pe vo naqsh biThāyā hai ki jī jāntā hai
shauq-e-gustāḳh ne aksar tumheñ barham kar ke
haa.e vo lutf uThāyā hai ki jī jāntā hai
jab kabhī yaad dilāyā hai taḳhayyul ne tumheñ
is tarah yaad dilāyā hai ki jī jāntā hai
itnā afsāna-e-furqat ko kiyā ishq ne zabt
sirf ye dars paḌhāyā hai ki jī jāntā hai
dars-e-ibrat hai mire dil kī tabāhī 'tālib'
ḳhaak meñ aisā milāyā hai ki jī jāntā hai
Top Urdushayar.com