aarzū rakhnā mohabbat meñ baḌā mazmūm hai
sun ki tark-e-ārzū hī ishq kā mafhūm hai
un nigāhoñ ke tasādum se jo chiñgārī uThe
ishq us kā naam hai ye ishq kā mafhūm hai
ab to ye armān hai armān hī paidā na hoñ
go samajhtā huuñ ki ye ummīd bhī mauhūm hai
vo khaḌe haiñ vo tasavvur ab tujhe maiñ kyā kahūñ
aañkh mahv-e-dīd kar diid se mahrūm hai
ishq phir mahrūmiyāñ nākāmiyāñ barbādiyāñ
merī qismat meñ jo likkhā hai mujhe ma.alūm hai
maiñ tujhī ko dekhtā huuñ jalva-farmā har taraf
mā-sivā tere mire nazdīk sab ma.adūm hai
zindagī ko maut hai jab zindagī ḳhud ho fareb
maut bhī goyā fareb-e-hastī-e-mauhūm hai
ishq meñ 'tālib' matā-e-hosh kho kar ḳhush to ho
us kā jo anjām hai vo bhī tumheñ ma.alūm hai