ḳhud tark-e-mudda.ā par majbūr ho gayā huuñ
taqdīr ke likhe se ma.azūr ho gayā huuñ
apnī ḳhudī kī dhun meñ mansūr ho gayā huuñ
ḳhud ban gayā huuñ jalva ḳhud tuur ho gayā huuñ
un ko bhulā rahā huuñ vo yaad aa rahe haiñ
kis darja dil ke hāthoñ majbūr ho gayā huuñ
sab miT ga.iiñ umīdeñ sab pis ga.iiñ umañgeñ
dil kī shikastagī se ḳhud chor ho gayā huuñ
pachhtā rahā huuñ un ko furqat meñ yaad kar ke
vo paas aa ga.e haiñ maiñ duur ho gayā huuñ
māyūs ho chukā huuñ ummīd kī jhalak se
maiñ jabr karte karte majbūr ho gayā huuñ
'tālib' shikast-e-dil kī ik āḳhirī sadā par
duniyā samajh rahī hai mansūr ho gayā huuñ