Talib Baghpati

pahli pahli wo mulaqat wo barsat ki raat

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
pahlī pahlī vo mulāqāt vo barsāt kī raat
yaad hai yaad hai vo sharm-o-hijābāt kī raat
vo lagāvaT se hama shikve-shikāyāt kī raat
vo tire sāya-e-gesū meñ hikāyāt kī raat
Dol par chāñd hare khet fazā.eñ ḳhāmosh
kaisī ma.asūm havā kartī hai dehāt kī raat
hashr kā roz kabhī ḳhatm to hogā zāhid
aa.egī aa.egī zālim ye ḳharābāt kī raat
ek jannat ke liye itnā alam shaiḳh-e-haram
kaash hotī tirī qismat meñ ḳharābāt kī raat
inqalāb aisā bhī mumkin hai palaT de taqdīr
dūsrī baar mirī pahlī mulāqāt kī raat
ruuh pāband-e-anāsir hai bas itnī 'tālib'
jaise mehmān musāfir ho koī raat kī raat
Top Urdushayar.com