Talib Baghpati

KHamosh andheri raaton mein jab sari duniya suti hai

Talib Baghpati

Baghpat, Uttar pradesh, India

1903-1984
ḳhāmosh añdherī rātoñ meñ jab saarī duniyā suutī hai
ik hijr kā maarā rotā hai aur shabnam aañsū dhotī hai
pahle to mohabbat rafta rafta hosh-o-ḳhirad ko khotī hai
phir yaad kisī kī aa aa kar kāñTe se dil meñ chubhotī hai
kuchh sochtā huuñ kuchh kahtā huuñ kuchh kahte haiñ kuchh suntā huuñ
jab un ke sāmne hotā huuñ merī ye hālat hotī hai
chāragar bas ye batlā de vo jab mujh se chhū jaate haiñ
kyuuñ jism meñ maujeñ uThtī haiñ kyuuñ nabz meñ sur.at hotī hai
sab kahte haiñ maiñ dīvāna huuñ haiñ kahtā huuñ sab dīvāne haiñ
maiñ duniyā-bhar par hañstā huuñ duniyā-bhar mujh par rotī hai
jab chāñd ufuq par hotā hai aur taare jhilmil karte haiñ
āñkhoñ meñ kisī kī bholī bholī shakl samā.ī hotī hai
ummīd se rishta TuuT gayā tum kyā chhūTe dil chhūT gayā
armānoñ kī baḌhtī khetī ko sail-e-yās Dubotī hai
dil ek na ik din jaanā thā ye din bhī āḳhir aanā thā
'tālib' tum is kā ġham na karo ye chiiz parā.ī hotī hai
Top Urdushayar.com