ik yādgār chāhiye koī nishāñ rahe
turbat mirī rahe na rahe āsmāñ rahe
kyuuñ dūd-e-āh nīm-shabī rā.egāñ rahe
ik aur āsmāñ na tā-āsmāñ rahe
kosoñ nishān-e-manzil-e-ulfat nikal ga.e
ham mahv-e-naġhma-e-jaras-kārvāñ rahe
dil intihā-pasand hai shauq-e-jagā nahīñ
vo mehrbāñ rahe to bahut mehrbāñ rahe
jorū-o-jafā-e-daur-e-falak haiñ ba-qadr-e-ishq
ab jis qadar kisī pe koī mehrbāñ rahe
al-muḳhtasar hayāt taḌapne kā naam hai
pahlū meñ dil rahe ki ḳhayāl-e-butāñ rahe
soz-e-fuġhāñ ne aah qafas bhī jalā diyā
ab ādī-e-quyūd batāo kahāñ rahe
rañgīnī-e-jamāl fareb-e-ḳhayāl hai
'tālib' vagarna dil meñ tamannā kahāñ rahe