dil-āzārī mohabbat meñ kahāñ ma.alūm hotī hai
ajab taskīñ pas-e-soz-e-nihāñ ma.alūm hotī hai
nigāh-e-nāz aksar dāstāñ ma.alūm hotī hai
kisī kī aañkh ham-vasf-e-zabāñ ma.alūm hotī hai
ḳhudāyā ḳhair kyā taaza tabāhī aane vaalī hai
ḳhamoshī se qarīb-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai
chhupī jaatī hai manzil hī ġhubār-e-rāh-e-manzil meñ
mirī qismat sharīk-e-kārvāñ ma.alūm hotī hai
ye garm-e-guftugū sayyād kis se hai zarā sun lo
qafas vaalo sadā-e-bāġhbāñ ma.alūm hotī hai
mirī bāteñ to vo shikva samajh kar sun nahīñ sakte
ḳhamoshī bhī unheñ merī garāñ ma.alūm hotī hai
fareb-e-shauq meñ manzil jinheñ āñkheñ samajhtī thiiñ
vahī ab āh-e-gard-e-kārvāñ ma.alūm hotī hai
ġhurūr-e-husn se koshish matānat iḳhtiyārī kī
tumhārī shoḳhiyoñ meñ rā.egāñ ma.alūm hotī hai
zamāne kī zabāñ par hai unhīñ kī dāstāñ 'tālib'
unheñ har baat merī dāstāñ ma.alūm hotī hai