ham bhī badal ga.e tirī tarz-e-adā ke saath saath
rañg-e-hinā ke saath saath shoḳhī-e-pā ke saath saath
nik.hat-e-zulf le uḌī misl-e-ḳhayāl chal paḌī
chaltā hai kaun dekhiye aaj hinā ke saath saath
itnī jafā-tarāziyāñ itnī sitam-shi.āriyāñ
tum bhī chale ho kuchh qadam ahl-e-vafā ke saath saath
vahshat-e-dard-e-hijr ne ham ko jagā jagā diyā
niiñd kabhī jo aa ga.ī ThanDī huā ke saath saath
hosh uḌā uḌā diye raah ke iztirāb ne
nik.hat-e-gul chalī to thī bād-e-sabā ke saath saath