'at.har' tum ne ishq kiyā kuchh tum bhī kaho kyā haal huā
koī nayā ehsās milā yā sab jaisā ahvāl huā
ek safar hai vādī-e-jāñ meñ tere dard-e-hijr ke saath
terā dard-e-hijr jo baḌh kar lazzat-e-kaif-e-visāl huā
rāh-e-vafā meñ jaañ denā hī pesh-ravoñ kā sheva thā
ham ne jab se jiinā sīkhā jiinā kār-e-misāl huā
ishq fasāna thā jab tak apne bhī bahut afsāne the
ishq sadāqat hote hote kitnā kam-ahvāl huā
rāh-e-vafā dushvār bahut thī tum kyuuñ mere saath aa.e
phuul sā chehra kumhlāyā aur rañg-e-hinā pāmāl huā