Athar Nafees

sau rang hai kis rang se taswir banaun

Athar Nafees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1933-1980
sau rañg hai kis rañg se tasvīr banā.ūñ
mere to ka.ī ruup haiñ kis ruup meñ aa.uuñ
kyuuñ aa ke har ik shaḳhs mire zaḳhm kurede
kyuuñ maiñ bhī har ik shaḳhs ko haal apnā sunā.ūñ
kyuuñ log musir haiñ ki suneñ merī kahānī
ye haq mujhe hāsil hai sunā.ūñ ki chhupā.ūñ
is bazm meñ apnā to shanāsā nahīñ koī
kyā karb hai tanhā.ī kā maiñ kis ko batā.ūñ
kuchh aur to hāsil na huā ḳhvāboñ se mujh ko
bas ye hai ki yādoñ ke dar-o-bām sajā.ūñ
be-qīmat-o-be-māya isī ḳhaak meñ yaaro
vo ḳhaak bhī hogī jise āñkhoñ se lagā.ūñ
kirnoñ kī rifāqat kabhī aa.e jo mayassar
ham-rāh maiñ un ke tirī dahlīz pe aa.uuñ
ḳhvāboñ ke ufuq par tirā chehra ho hamesha
aur maiñ usī chehre se na.e ḳhvāb sajā.ūñ
rah jaa.eñ kisī taur mere ḳhvāb salāmat
is ek duā ke liye ab haath uThā.ūñ
Top Urdushayar.com