Athar Nafees

phir koi naya zaKHm naya dard ata ho

Athar Nafees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1933-1980
phir koī nayā zaḳhm nayā dard atā ho
us dil kī ḳhabar le jo tujhe bhuul chalā ho
ab dil meñ sar-e-shām charāġhāñ nahīñ hotā
sho.ala tire ġham kā kahīñ bujhne na lagā ho
kab ishq kiyā kis se kiyā jhuuT hai yaaro
bas bhuul bhī jaao jo kabhī ham se sunā ho
darvāza khulā hai ki koī lauT na jaa.e
aur us ke liye jo kabhī aayā na gayā ho
shāyad ki tire qurb se aa jaa.e mayassar
vo dard ki jo dard-e-judā.ī se sivā ho
ab merī ġhazal kā bhī taqāzā hai ye tujh se
andāz-o-adā kā koī uslūb nayā ho
Top Urdushayar.com