Athar Nafees

farzanon ki is basti mein ek ajab saudai hai

Athar Nafees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1933-1980
farzānoñ kī is bastī meñ ek ajab saudā.ī hai
kis ke liye ye haal hai us kā kaun aisā harjā.ī hai
kis ke liye phirtā hai akelā shahr ke hañgāmoñ se duur
kaun hai jis kī ḳhātir us ko tanhā.ī raas aa.ī hai
kis ke lab o ruḳhsār kī bāteñ Dhal jaatī haiñ ġhazloñ meñ
kis ke ḳham-e-kākul kī kahānī vaj.h-e-suḳhan-ārā.ī hai
kaun hai jis kī mahrūmī ke daaġh haiñ us ke siine meñ
kaun hai jis ke ḳhvāboñ kī ik duniyā maiñ ne sajā.ī hai
kyuuñ us kī āshufta-sarī kā charchā hai ham logoñ meñ
kyuuñ itnī pur-kaif-o-soz us kī shab-e-tanhā.ī hai
'at.har' aao ham bhī us ke dil kī bāteñ sun aa.eñ
kahte haiñ dīvāna hai vo vahshī hai saudā.ī hai
Top Urdushayar.com