tū milā thā aur mere haal par royā bhī thā
mere siine meñ kabhī ik iztirāb aisā bhī thā
jis tarah dil āshnā thā shahr ke ādāb se
kuchh usī andāz se shā.ista-e-sahrā bhī thā
zindagī tanhā na thī ai ishq terī raah meñ
dhuup thī sahrā thā aur ik mehrbāñ saayā bhī thā
ishq ke sahrā-nashīnoñ se mulāqāteñ bhī thiiñ
husn ke shahr-e-nigārāñ meñ bahut charchā bhī thā
hijr ke shab-zinda-dāroñ se shanāsā.ī bhī thī
vasl kī lazzat meñ gum logoñ se ik naatā bhī thā
har fasurda aañkh se mānūs thī apnī nazar
dukh bhare sīnoñ se ham-rishta mirā siina bhī thā
thak bhī jaate the agar sahrā-navardī se to kyā
muttasil sahrā ke ik vajd-āfrīñ dariyā bhī thā