sukūt-e-shab se ik naġhma sunā hai
vahī kānoñ meñ ab tak gūñjtā hai
ġhanīmat hai ki apne ġham-zadoñ ko
vo husn-e-ḳhud-nigar pahchāntā hai
jise kho kar bahut maġhmūm huuñ maiñ
sunā hai us kā ġham mujh se sivā hai
kuchh aise ġham bhī haiñ jin se abhī tak
dil-e-ġham-āshnā nā-āshnā hai
bahut chhoTe haiñ mujh se mere dushman
jo merā dost hai mujh se baḌā hai
mujhe har aan kuchh banñā paḌegā
mirī har saañs merī ibtidā hai