vo ishq jo ham se ruuTh gayā ab us kā haal batā.eñ kyā
koī mehr nahīñ koī qahr nahīñ phir sachchā sher sunā.eñ kyā
ik hijr jo ham ko lāhaq hai tā-der use dohrā.eñ kyā
vo zahr jo dil meñ utaar liyā phir us ke naaz uThā.eñ kyā
phir āñkheñ lahū se ḳhālī haiñ ye sham.eñ bujhāne vaalī haiñ
ham ḳhud bhī kisī ke savālī haiñ is baat pe ham sharmā.eñ kyā
ik aag ġham-e-tanhā.ī kī jo saare badan meñ phail ga.ī
jab jism hī saarā jaltā ho phir dāman-e-dil ko bachā.eñ kyā
ham naġhma-sarā kuchh ġhazloñ kī ham sūrat-gar kuchh ḳhvāboñ ke
be-jazba-e-shauq sunā.eñ kyā koī ḳhvāb na ho to batā.eñ kyā