kabhī saaya hai kabhī dhuup muqaddar merā
hotā rahtā hai yuuñ hī qarz barābar merā
TuuT jaate haiñ kabhī mere kināre mujh meñ
Duub jaatā hai kabhī mujh meñ samundar merā
kisī sahrā meñ bichhaḌ jā.eñge sab yaar mire
kisī jañgal meñ bhaTak jaa.e. gā lashkar merā
bā-vafā thā to mujhe pūchhne vaale bhī na the
be-vafā huuñ to huā naam bhī ghar ghar merā
kitne hañste hue mausam abhī aate lekin
ek hī dhuup ne kumhlā diyā manzar merā
āḳhirī jur.a-e-pur-kaif ho shāyad baaqī
ab jo chhalkā to chhalak jaa.e gā sāġhar merā