Athar Nafees

kya waqt paDa hai tere aashufta-saron par

Athar Nafees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1933-1980
kyā vaqt paḌā hai tire āshufta-saroñ par
ab dasht meñ milte nahīñ milte haiñ gharoñ par
pahchān lo is ḳhāk-e-rah-e-hirs-o-havas ko
qadmoñ se ye uThtī hai to girtī hai saroñ par
ḳhud apne hī andar se ubhartā hai vo mausam
jo rañg bichhā detā hai titlī ke paroñ par
sauġhāt samajhte the jise dasht-e-vafā kī
vo ḳhaak bhī sajtī nahīñ ab apne saroñ par
ubhrā na tirā husn-e-ḳhad-o-ḳhāl abhī tak
tasvīr tirī qarz hai tasvīr-garoñ par
kāñTe bhī chune raah ke patthar bhī haTā.e
manzil na huī sahl magar ham-safaroñ par
phir pakke makānoñ ke makīñ ḳhanda-ba-lab haiñ
yalġhār hai dariyāoñ kī phir kachche gharoñ par
Top Urdushayar.com