dam-ba-dam baḌh rahī hai ye kaisī sadā shahr vaalo suno
jaise aa.e dabe paañv sail-e-balā shahr vaalo suno
ḳhaak uḌātī na thī is tarah to havā us ko kyā ho gayā
dekho āvāz detā hai ik sāneha shahr vaalo suno
ye jo rātoñ meñ phirtā hai tanhā bahut hai akelā bahut
ho sake to kabhī us kā bhī mājrā shahr vaalo suno
ye hamīñ meñ se hai us ke rañj-o-alam us se pūchho kabhī
haañ suno us kī rūdād-e-mehr-o-vafā shahr vaalo suno
us ke jī meñ hai kyā us se pūchho zarā dekheñ kahtā hai kyā
kis ne us shaḳhs par koh-e-ġham Dhā diyā shahr vaalo suno
umr bhar kā safar jis kā hāsil hai ik lamha-e-muḳhtasar
kis ne kyā kho diyā kis ne kyā pā liyā shahr vaalo suno
us kī be-ḳhvāb āñkhoñ meñ jhāñko kabhī us ko samjho kabhī
us ko bedār rakhtā hai kyā vāqi.a shahr vaalo suno