na shaam hai na saverā ajab dayār meñ huuñ
maiñ ek arsa-e-be-rañg ke hisār meñ huuñ
sipāh-e-ġhair ne kab mujh ko zaḳhm zaḳhm kiyā
maiñ aap apnī hī sāñsoñ ke kār-zār meñ huuñ
kashāñ-kashāñ jise le jā.eñge sar-e-maqtal
mujhe ḳhabar hai ki maiñ bhī usī qatār meñ huuñ
sharaf milā hai kahāñ terī ham-rahī kā mujhe
tū shahsavār hai aur maiñ tere ġhubār meñ huuñ
atā-patā kisī ḳhushbū se pūchh lo merā
yahīñ kahīñ kisī manzar kisī bahār meñ huuñ
maiñ ḳhushk peḌ nahīñ huuñ ki TuuT kar gir jā.ūñ
numū-pazīr huuñ aur sarv-e-shāḳh-sār meñ huuñ
na jaane kaun se mausam meñ phuul mahkeñge
na jaane kab se tirī chashm-e-intizār meñ huuñ
huā huuñ qarya-e-jāñ maiñ kuchh is tarah pāmāl
ki sar-buland tire shahr-e-zar-nigār meñ huuñ