itne din ke baad tū aayā hai aaj
sochtā huuñ kis tarah tujh se milūñ
mere andar jaag uThī ik chāñdnī
maiñ zamīñ se āsmāñ tak añg huuñ
aur ujlā ho gayā qurbat kā chāñd
aur gahrā ho gayā terā fusūñ
ai sarāpā rañg-nik.hat tū batā
kis dhanak se terā pairāhan banūñ
saare gul-būTe tar-o-tāza hue
duur tak pahuñchī hai merī mauj-e-ḳhūñ
kar rahe haiñ lamhe lamhe kā hisāb
mil ke phir baiThe haiñ yārān-e-junūñ
dasht-e-ġham kī dhuup meñ mujh par khulā
maiñ ḳhud apnā sāya-e-dīvār huuñ
naaz kar ḳhud par ki tū hai be-shumār
qadr kar merī ki maiñ bas ek huuñ