Athar Nafees

dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya

Athar Nafees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1933-1980
dil kī masarrateñ na.ī jaañ kā malāl hai nayā
merī ġhazal meñ aaj phir ek savāl hai nayā
ab jo khile haiñ dil meñ phuul un kī bahār hai na.ī
ab jo lagī hai dil meñ aag us kā jalāl hai nayā
us ke liye bhī ġham-za-e-nāz-o-adā kā vaqt hai
apne liye bhī mausam-e-hijr-o-visāl hai nayā
us meñ bhī ḳhud-numā.ī ke rañg bahut haiñ in dinoñ
apne liye bhī arsa-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl hai nayā
jaag uThā hai ik chaman merī hudūd-e-zāt meñ
us ke qarīb hī kahīñ dasht-e-malāl hai nayā
ruuh meñ jal uThe haiñ aaj lazzat-e-qurb ke charāġh
soz-o-gudāz-e-hijr bhī shāmil-e-hāl hai nayā
jhuum uThe haiñ barg-o-bār phuul khile haiñ be-shumār
ai merī rūh-e-be-qarār terā to haal hai nayā
us ne mirī nigāh ke saare suḳhan samajh liye
phir bhī mirī nigāh meñ ek savāl hai nayā
Top Urdushayar.com