Athar Nafees

kya baat nirali hai mujh mein kis fan mein aaKHir yakta hun

Athar Nafees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1933-1980
kyā baat nirālī hai mujh meñ kis fan meñ āḳhir yaktā huuñ
kyuuñ mere liye tum kuḌhte ho maiñ aisā kaun anokhā huuñ
vo lamha yaad karo jab tum is qalb-sarā meñ aa.e the
us roz se apnā haal hai ye kabhī hañstā huuñ kabhī rotā huuñ
kuchh bhūlī-bisrī yādoñ kā albelā shahr basāyā hai
koī vaqt mile to aa niklo yahīñ miltā huuñ yahīñ rahtā huuñ
kuchh aur baḌhe is raste meñ anfās-e-rifāqat kī ḳhushbū
tum saath sahī hamrāh sahī maiñ phir bhī tanhā tanhā huuñ
maiñ ḳhāk-basar maiñ arsh-nashīñ maiñ sab kuchh huuñ maiñ kuchh bhī nahīñ
maiñ tere gumāñ se patthar huuñ maiñ tere yaqīñ se hiirā huuñ
Top Urdushayar.com