Athar Nafees

raunaq-e-besh-o-kam kis ke hone se hai

Athar Nafees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1933-1980
raunaq-e-besh-o-kam kis ke hone se hai
mausam-e-ḳhushk-o-nam kis ke hone se hai
kis kā chehrā banātī haiñ ye sā.ateñ
vaqt kā zer-o-bam kis ke hone se hai
kaun guzrā ki bante ga.e rāste
raah kā pech-o-ḳham kis ke hone se hai
kis kī ḳhātir darīchoñ se aa.ī havā
ye fazā yuuñ baham kis ke hone se hai
shāḳh-dar-shāḳh pattoñ kī ye zindagī
aaj bhī mohtaram kis ke hone se hai
maut bar-haq hai kis ke na hone se aaj
zindagī dam-ba-dam kis ke hone se hai
kis kī zulfoñ kā e.ajāz hai bū-e-gul
ye havāoñ meñ nam kis ke hone se hai
sub.h-e-shādābi-e-jāñ kā kyuuñ hai malāl
ishrat-e-shām-e-ġham kis ke hone se hai
vahshat-e-dil ko kis ne sambhālā diyā
ye junūñ kam se kam kis ke hone se hai
kis se mansūb hai har jafā har vafā
ye sitam ye karam kis ke hone se hai
Top Urdushayar.com