har ashk tirī yaad kā naqsh-e-kaf-e-pā hai
har aah tire pā-e-tasavvur kī sadā hai
har zarra meñ har phuul meñ ā.īna paḌā hai
har samt tire aks kā mahshar sā bapā hai
ik an-sunī āvāz sī aatī hai kahīñ se
ik paikar-e-mauhūm sar-e-dosh-e-havā hai
yuuñ jhiil meñ zau-rez tirā saaya hai maano
paanī kī añgūThī meñ nagīna sā jaḌā hai
pābandī-e-ādāb se hushiyār ki is meñ
har qahqaha naukā kī tarah Duub chukā hai
rahtā thā jahāñ dil meñ tire pyaar kā panchhī
us shāḳh par ab ujḌā huā ghoñsla sā hai
shāyad yahī sho.ala his-e-bātil kī ḳhabar le
ai dost sar-e-dār dhuāñ sā to uThā hai
shāyad maiñ sar-e-chashma-e-anvār khaḌā huuñ
hairāñ huuñ tā pā-e-nazar chāñd sā kyā hai
vo rañg tasavvur hai ki har zarra-e-jāñ se
ik ajnabī sā chehra mujhe ghuur rahā hai
kyuuñ phail chalā bazm-e-tamannā meñ dhuāñ sā
kyuuñ terī mohabbat kā diyā bujh sā gayā hai