duniyā kā hai ujālā patthar
yazdāñ terā kaalā patthar
choTī tak jis ne pahuñchāyā
us ko dekh sambhālā patthar
muñh tak ab le jaanā kaThin hai
ban jaatā hai nivālā patthar
titlī aan ke us par baiThe
phuul bane hai saalā patthar
kuchh to thā mujh meñ jab us ne
merī samt uchhālā patthar
la.al-o-gohar bāzār ko de de
ghar ke liye bachchā lā patthar
jabr jo ḳhair se uljhā samjhā
illā ḳhudā thā banā lā patthar
merā to ik rañg badan hai
un ke liye hai jiyālā patthar
us ke binā thā jiinā kaisā
vo na milā to kahā lā patthar