Ehtisham Husain

tujhe pasand jo dil ki lagan nahin aai

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972

tujhe pasand jo dil lagan nahīñ aa.ī

mujhe bhī raas tirī anjuman nahīñ aa.ī

uḌā rañg hai kyuuñ vaqt ke mashīhāo

abhī to manzil-e-dār-o-rasan nahīñ aa.ī

taḌaptā rahā yāqūb dār-e-ahd-e-kuhan

havā-e-yūsuf-e-gul-pairahan nahīñ aa.ī

sitam-shi.ār to thā ġhair bhī magar us ko

jafā-tarāzī-e-ahl-e-vatan nahīñ aa.ī

jo dhuup ban ke chamak jaatī dil ke āñgan meñ

tirī nazar vo rañgīñ kiran nahīñ aa.ī

jo pesh-ḳhema bane inqalāb ab tak

jabīn-e-vaqt pe aisī shikan nahīñ aa.ī

Top Urdushayar.com